Tuesday, 14 April 2015

Romantic Shayari -

ROMANTIC SHAYARI

SAPNO KA MEHBOOB

Dekho Aaj Fir Kismat Ka Faisla Mere Hisse Me Aaya Hai
Wo Sapno Ka Mehboob Ab Haqiqat Me Utar Aaya Hai
Uff Kya Adaaye Uski, Kya Kaatilana Uska Andaaz Hai
Jese Chand Khud Aasman Chor Zamee Par Aaya He
Ab Ki Zid He Samalu Us Chand Ko Khud Me Par Yaaro
Usne Ab Tak Is Sitaare Ki Mohabbat Ko Na Jana Hai
Uske Liye To Me Bhi Ek Aam Sitara Hu Aur Sitaaro Ki Tarah
Hai Kitna Aziz Wo Mere Liye Ab Us Chand Ko Ye Batana Hai
Roshni Uski To Har Sitaare Par Padti He Par Yahi Tamanna Hai
Ek Din Uski Roshni Par Bas Sirf Aur Sirf Mera Haq Jamana Hai
Ha Wo Meri Hogi Ab Ki Yakeen Apni Kismat Par Bhi Hone Laga Hai
Kyuki Badi Muddato Ke Baad Meri Kismat Ne Muje Pehchana Hai
Tamanna To Bahut He Dil Me Par Sabse Aziz Kuch Ye He Yaaro
Jhuk-kar Uske Kadmo Me Use Apni Mohabbat Ka Khuda Banana Hai…
√ Er. Arun Kamboj

MOHABBAT KA IZHAAR

Samajh Nahi Aata Suruaat Kaise Karein
Aapse Pehli Mulakat Kaise Karein
Pyaar To Behad Kartein Hai Aapse Magar
Is Mohabbat Ka Izhaar Kaise Karein
Yaar To Kahte Hain Wo Inkaar Nahi Karenge
Magar Bina Aapke Haan Sune Is Baat Par Vishwaas Kaise Karein
Kuch To Kahte Hain Dil Na Laga Baithna Barbaad Ho Jaayega
Magar Bina Aapke Saath Rehkar Iss Baat Ka Ahsaas Kaise Karein…
– Ashwyan
Romantic Shayari - Related to: 
Comments Off

AASHIQ MOHABBAT MEIN TERI

Romantic Moment Shayari
Aa Mere Pass Aaja Tujhe Dhadkane Apne Dil Ki Sunao,
Thak Gaya Hoon Bahut, Teri Godh Me Rakh Kar Sar Neend Chain Ki So Jaun,
Kabhi Tu Uthaye To Kabhi Jhukaye Palkein Apni,
Zulfein Teri Bikhri Hon Chehre Par Mere, Mein Ghumakar Apni Ungiliya Inhe Sehlao,
Chahat Ke In Haseen Palo Me Na Rahe Hosh Mujhe,
Main Bhar Lo Tujhe Baahon Mein Apni Aur Tujh Me Kho Jaun,
Laga Kar Tere Labo Se Lab Apne Main Tujh Par Mohabbat Apni Saari Lutaun,
Main Hoon Aashiq Mohabbat Mein Teri Thoda Sa Pagal Deewana Ho Jaun…
– Kaushal

INTEZAAR THA JIS TASVEER KA

Tasveer
Voh Ankhon ke Samne rehne lga hai aajkal
Kyun yaad aane lga hai pal pal
Kyun khoyi khoyi si ye Nazar hai
Pyaara Lagne lga yeh lamba safar
Waqt ka Na hosh hai Na darr kisi cheez ka
Rub-a-ru huyi, intezaar tha Jis tasveer ka…
– Puneet Kaur

ROG JAWANI MEIN

Hye Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.
Tujhe Paane Ke Liye Hum Toh,
Ban Baithe Jogi Chahat Mein Teri,
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Jog Jawani Mein.
Tu Jo Aayi Saamne,
Ruk Gaya Waqt Mera,
Hye Yeh Kaisi Lag Gayi Rok,
Waqt Ki Rawani Mein,
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.
Tere Chehre Ka Kuch,
Ausa Jaadu Hua Mujh Par,
Ki Reh Reh Kar Tera Chehra Mujhe,
Dikhta Raha Paani Mein,
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.
Bhookh Lage Na Pyaas Mujhe,
Hua Kya Yeh Mujhko,
Aalam-E-Diwani Mein,
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.
Koi Laakar Bhi Deta,
Agar Khabar Teri,
Toh Deta Usko Apni Cheeze,
Khandani Main,
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.
Koi Banata Tera Naam Lekar,
Mujhko Paagal,
Maanta Usko Bhi,
Uski Ehsaani Main,
Uff Yeh Kaisa Humko,
Lag Gaya Rog Jawani Mein.
Saamne Tere Mujhe,
Dard Na Ho Ehsas,
Hua Kya Mujhe,
Yeh Bhari Jawani Mein,
Uff Yeh Kaisa Humko,
Lag Gaya Rog Jawani Mein.
Chaundhavi Ke Bhi Chaand Se,
Jyada Khubsurat Lagi,
Tu Mujhe Us,
Raat An-Chaandani Mein,
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.
Tu Bhi Kar Mujhse,
Ikrar Apni Mohbbat Ka,
Aaye Phir Aur Bhi Maza,
Apni Prem Kahani Mein,
Uff Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein
Hye Yeh Kaisa Humko Lag Gaya,
Rog Jawani Mein.


Read more: http://www.shayarism.com/romantic-shayari/page/5/#ixzz3XJFgvHR2
amitdonji@yahoo.in!!

No comments:

Post a Comment